Laut Ke Buddhu Ghar Ko Aaye (The fools return homewards)

Hindi - Pragya Lal
Laut Ke Buddhu Ghar Ko Aaye Chuttiyaan chal rahi thi Jab mere bhai aur maine ye thaan liya Ghar chhod kar bhagna padega hume ‘Hame yahan koi nahi samajhta’ ye humne maan liya Subah subah utha kar kahte hai Ratlo 18 ke tables Padhlo Science ki saare kitaabe Aur Aesop ke saare fables Aap batao, kya Sherlock Holmes ke kandho Par tha homework ka boj? Kya Shaktimaan yaad karta tha har country ke capital roz? Kya Lincoln ko pata tha meetha hota hai sabr ka phal? Kya Colombus jaanta tha difference between present and past participle? In sawalo ke jawab jab koi na de paaya Tab hamare dimaag mein ghar se bhagne ka idea aaya Le kar apni chamkeeli neeli Avon cycle huye hum farar ... ...Par puncture hogayi kuch doori par hi cycle Saari planning huyi bekar Paas mein hi cold drink ki Dikhi hame dukaan Socha chota coke peekar hi Mitayi jaaye thakaan Magar Dukaandaar ne jhat se hame pehchaan liya Phone laga kar mummy ko Kissa hamara bayaan kiya Ghar wapas lejane turant aayi Mummy ki sena Phir jo hamari huyi pitai Uska kya tha kehna Gaal sahlate huye, humne prabhu ko Yaad kiya Grown ups ki mili bhagat ne hamara
Adventure barbaad kiya TV pe dekha tha ghar chhod ke jaane Se milti hai jalebi Hum par toh jooto ki bauchaar huyi Ads nikle farebi Us din ke baad TV ke ad kabhi na bhaaye Is tarah dosto, laut ke budhhu ghar ko aaye!
Not Available