Laut Ke Buddhu Ghar Ko Aaye
Chuttiyaan chal rahi thi
Jab mere bhai aur maine ye thaan liya
Ghar chhod kar bhagna padega hume
‘Hame yahan koi nahi samajhta’ ye humne maan liya
Subah subah utha kar kahte hai Ratlo 18 ke tables
Padhlo Science ki saare kitaabe Aur Aesop ke saare fables
Aap batao,
kya Sherlock Holmes ke kandho
Par tha homework ka boj?
Kya Shaktimaan yaad karta tha
har country ke capital roz?
Kya Lincoln ko pata tha
meetha hota hai sabr ka phal?
Kya Colombus jaanta tha
difference between present and past participle?
In sawalo ke jawab jab koi na de paaya
Tab hamare dimaag mein ghar se bhagne ka idea aaya
Le kar apni chamkeeli neeli Avon cycle huye hum farar …
…Par puncture hogayi kuch doori par hi cycle Saari planning huyi bekar
Paas mein hi cold drink ki Dikhi hame dukaan
Socha chota coke peekar hi Mitayi jaaye thakaan
Magar Dukaandaar ne jhat se hame pehchaan liya
Phone laga kar mummy ko Kissa hamara bayaan kiya
Ghar wapas lejane turant aayi Mummy ki sena
Phir jo hamari huyi pitai
Uska kya tha kehna
Gaal sahlate huye, humne prabhu ko Yaad kiya
Grown ups ki mili bhagat ne hamara
Adventure barbaad kiya
TV pe dekha tha ghar chhod ke jaane Se milti hai jalebi
Hum par toh jooto ki bauchaar huyi Ads nikle farebi
Us din ke baad TV ke ad kabhi na bhaaye
Is tarah dosto, laut ke budhhu ghar ko aaye!